Sunday, November 15, 2015

Baaz aa jao: Muslim Saleem


MUSLIM SALEEM
UAA DETE HAIN JO SCHOOL KE MASOOM BACHCHON KO
FANAA KAR DETE HAIN TAYYARAY JIN KE ASPATALON KO
JINHON NE MAAR DALA HAI KARORON BAY GUNAAHO KO
BILAD E MAGHRIBI AB RO RAHAY HAIN APNI JAANUN KO
BATAYEN MASHRIQ E WASTAA MEIN UN KA KAAM HI KYA HAI
BANAYA HAI WAHAN KA MUNTAZIM AUR MUHTASIB KIS NE
YEH BEHTAR HAI KE BAZ AAJAYEN BAYJA DAKHAL DAY NE SE
YEH SAB SHAITAN KE CHELE YEH ISRAEL KE CHAMCHAY

Friday, January 23, 2015

TAQLEED LAAZIMI HAI: MUSLIM SALEEM

qata taqleedMUSLIM SALEEM
HAM RAAH-E-NABI (SAW), RAAH-E-SAHABA PA CHALEN TOU
DAR ASL HAI YEH HUKM-E-KHUDAWANDI KI TAKREEM
ALHAMD MAIN “NEKON KI CHALAA RAAH” BATAA KAR
ALLAH NE DEE HAI HAMEN TAQLEED KI TALEEM

Sunday, January 11, 2015

Ibarat Ali Alvi "Talash" on Muslim Saleem


MUSLIM SALEEM MAUJOODA URDU ADAB KAY BALAND TAREEN SUTOON HAIN. AAP KEY ASHA’AR MAIN WO KAAT HAI JO HEERON KI KIRNO SAY PAIDA HOTI HAI. AAP KI SHAYERI MAIN AIK NAYA ANDAZ AIK NAI ROSHNI MILTI HAI. AAP KEY ASHA’AR MAIN TANZO MAZAH KA BHI SARMAYA MILTA HAI. SANJEEDA SAHYERI KI TARAH TANZO MAZAH KA UNSUR BHI NAYE RANG MAIN NAZAR AATA HAI..(IBARAT ALI ALVI “TALASH”, ITALY) FB ID Urdish Ehbab

Mohammad Naseem on Muslim Saleem


Wednesday, January 7, 2015

EK NAATIYA SHER: MUSLIM SALEEM


ek naatiya sher graphics.gifZAMANE MEIN HAIN JITNE MUSTAFA KO CHAHNAY WALAY
WAHI TO DAR HAQEEQAT HAIN KHUDA KO CHAHANAY WALAY
زمانے میں ہیں جتنے مصطفیٰ کو چاہنے والے
وہی تو درحقیقت ہیں خداکو چاہنے والے

Sunday, January 4, 2015

ID MILAD UN NABI MUBARAK; MUSLIM SALEEM

ek qata durood with graphics.gif

YAHI DUNIYA MAIN HAADI HAI
YAHI MAHSHAR KA SAATHI HAI
ISAY HAR DAM PARHO MUSLIM
DUROOD-E-PAAK SHAAFI HAI

Sunday, November 16, 2014

Allama Kausar Siddiqui on Muslim Saleem

Allama

Thursday, November 6, 2014

MADAR-E-MEHRBAAN HAI AMU


MUSLIM SALEEM (6 NOVEMBER 2014 )
MAAYA-E-IZZ-O-SHAAN HAI AMU 
MERA SARA JAHAN HAI AMU 
MEIN JAHAN BHI HOON JEE RAHA HON ISAY
YANI MUJH MEIN RAWAN HAI AMU 
IS MEIN TABAAN HAIN SENKRON SOORAJ
ILM KI KEHKASHAN HAI AMU 
IS KI SHAFQAT MEIN BHAID NAHEEN
MADAR-E-MEHRBAAN HAI AMU 
NAZISH MULK, SHAN-E AALAM HAI
JISM DUNIYA HAI, JAAN HAI AMU 
TOO BHI MUSLIM KHIRAAJ DAY USKO
KYUNKAY TERI BHI MAAN HAI AMU 

Sunday, June 22, 2014

Poetic Compliments On Jashn e Muslim Saleem At Bhopal by Ahmad Ali Barqi Azmi (30th Dec 2012


jashn barqiBhopal meiN hai jashn jo Muslim Saleem ka

Hai Aiteraf un ke yeh kaar e azeem ka

Dehli meiN aa ke us ne khabr is ki mujh ko di

Ab arsh par dimaagh hai mauj e naseem ka

Rakhsh e qalam ke mere woh mahmez ban gaii

Woh kar rahi thi farz ada ek nadeem ka

Khamosh kyoN ho us ne kaha tum bhi kuchh likho

Kar lena zikr baad meiN daur e qadeem ka

Khidmatguzar e Urdu haii daur e jadeed meiN

Hai ilm kuchh to kaam karo ek aleem ka

MaiN ne kaha ki kaun use janta nahiN
Farzand e neknam hai wahid Saleem ka
“Khayyam e Nau” unhiN ki to vird e zabaaN hai aaj
Un par karam ho khuld meiN Rabb e Kareem ka
Bete pe baap ka hai asar kar raha hai jo
Hai dilnasheeN namoona yeh zauq e Saleem ka

Saturday, June 7, 2014

MUSLIM SALEEM GHAZAL - PARI KA US KAY UNDAR SE NIKALNA

PARI KA US KAY ANDAR SE NIKALNA
JAHAAN-E-KHWAAB BISTAR SE NIKALNA
DAHAKTI RET PAR PHIR MAIN NAY DEKHA
SAMANDAR MERI THOKAR SE NIKALNA
JO MUMKIN HO BUJHA DAY PYAAS MERI
BAJA HAI AAP GAUHAR SE NIKALNA
NA JAANAY KIS JAGAH MIL JAAYE DAHSHAT
DUA'EN PARH KE SAB GHAR SE NIKALNA
BHARAY GA PAIKAR-E-TASWEER MAIN KHOON
MAHABBAT KA TO MANZAR SE NIKALNA
JO MUMKIN HO TO PHIR DUNIYA HAI JANNAT
NADAAMAT NOK-E-KHANJAR SE NIKALNA
AJAB ASHA'AR MUSLIM NAY KAHE HAIN
KE JAISE AAB PATTHAR SE NIKALNA

Wednesday, April 9, 2014

MUSLIM SALEEM - Do ashaar

ULFAT MAIN MUBTALAA THAA TO MUHLAT NAHEEN MILI
 

NAFRAT KE WAASTE MUJHAY FURSAT NAHEEN MILI

 

AAKHIRI HAYAAT PAAYEE JAHANNAM KI AAG MAIN


KHUD KUSH NAY LAKH CHAHA, SHAHADAT NAHEEN MILI

Ghazal - Muslim Saleem

SHAAKH-E-IMKAAN PAR GUL KHILA HAI
 
KOI HANS KAR MUJHAY DEKHTA HAI


DAUR-E-HAAZIR KA YEH MAAJRAA HAI
 
DAHN-E-SHAITAAN PE NAAM-E-KHUDA HAI


MUNTHAB KHUD ANDHERA KIYAA HAI
 
AUR PHIR RAUSHNI SE GILAA HAI


SAANP KA AB TO BACHNAA HAI MUSHKIL
 
KOI INSAAN USAY DAS GAYAA HAI

Thursday, February 6, 2014

Muslim Saleem – ghazal – adaz hain haan kehne ke…


Muslim Saleem Ghazal Feb 4, 2014
Andaaz hain haan kehne ke aakhir to sabhi naa
Main haan hi samajhta hoon jo kehta kabhi naa
Ai zeest miri tu isi ummeed pay jeena
Utray ga haqeeqat main kabhi khwaab ka zeena
Sairaab ho ye rooh to pur noor ho seena
Ham par bhi meharbaan ho mahabbat ki haseena
Har dam ho khayaal uska mujhe roz-o-shabeena
Har maah ho us maah ki ulfat ka maheena
Muslim tiray maddah hain naa-beena-o-beena
Khoob aata hai izhaar ka tujhko bhi qareena